MUSLIM UNITY(ITTEHAD E MUSLIM)

Allah ne Insan ko paida kiya to usko Bayan wo Hikmat se Nawaza,aur uske Istemal keliye asbaad wa tareeqeh keliye Aqal ke saath dil se bhi mala maal kiya,insaan ka dil hi ek aysi cheez hai,jo Har achi baat pe khush,aur har buri wa takleef wali baat se Na Khush hojata hai,aur apne muvafaq guftugu karne wale se qurbat aur Mukhalif baat karne wale se budat ikhtiyar karne per ubharta hai,

lekin in saari baato ke bawajood in sabko jodne wali NEMAT ” DEEN E ISLAM ” hai,aur islam saare muslamo ko muttahid aur muttafiq rahne ki taleem deta hai,Allah ne quran ke kareem me farmaya :

(Aye Musalmano) Allah ki Rassi ko thame rakho,apas me ikhtelaf mat karo ek hojavo….

(Al quran,vol/4,Surah Al Imrah ;103)

Haan jab sab ka zahen mukhtalif ho to ikhtelaf hosakta hai,lekin Hamara Deeen Ek hai,Quran ek hai,Rasool(Sallallahualihwasallam) ek hai,aur hamara kalimah bhi ek hi hai,

aaj har koi apne mafaad keliye Doosre Musalma per tohmat baandh raha hai,aur uski izzat aur uske Zaati moamlaat per media me khabre publish ki jarahi hai,jab ke hadees me yaha tak aya hai,ke jo apne musalman bhai ke aybo ko dunya me chupayega to ALLAH qiyamat me uske aybo ko chupayega,jaha tak ek izzat ke bare me kahna bataur e insaniyat bhi badi ghalat baat hai,haan agar wo mujrim hoto wo aur baat hai,

isi ki taraf tawajjuh dilate huve Hamare Nabi e paak sallallahualihwasallam ne farmaya :ek musalman doosre musalman ka bhai hai,to wo usko dhoka na de,us se jhoot na bole aur usko Neechi nigaho se na dekhe,ek musalman ki izzat,uska maal,aur uska Khoon doosre musalman per Haram hai,ek shaks ki burayi is baat se sabit hojati hai,ke wo kisi doosre musalman ko haqeer sajhe,

(jamiut tirmizi,H,No :2052)

Dosto Aaj Hum firqo me bat gaye hai,Jo to hona hi tha kahke ikhtelaf karna nahi hai,ayse halaat me hi hum sabko Muttahid hojana hai,Har field me ekhtelaf Jalso,kitabo,Nazmo,aur shayari ke stage se lekar media ke coment me bhi ikhtelaf horaha,

school me padhne wale chote bacho me bhi baaz tashaddud pasand log ikhtelaf ka mahol paida kar rahe hai,jis se unko waqti faidah to hojayega,wo waqti taur per jeet to jayege,lekin Musalmano ka dayimi Noqsan hoga aur Muslamn har jayega,

aap jis Aalim ke followers hai,rahe unki izzat kare,aur doosre Ulama e kiram ki bhi izzat kare,unko bura mat kahe warna unke followers aapke Aalim ko bura kahna shuru karenge,Haan,Haq ki Talash me zaroor rahe,

AAJ HAME EKHTELAF KI NAHI ITTEHAD KI ZAROORAT HAI,

Ek musalman doosre musalman keliye ek hi  imarat ke hisseh jaisa hai,to hame Dil se is baat ke bare me sonch chahiye kyu ke isi ikhtelaf ki wajah se aaj falastin,iraq ,iran,syria me ittehad toot gaya aur ghairo ne is ekhtelaf ka faidah hasil karliye,,

to hame kalimah ki bunyad per ek hona hai,har jagah ye ittehad ka mahol paida karna hai,

Yaad rahe… ye ittehad to doosro ke ekhtelaf ko bardasht karne ke baad hi aata hai,

aapka Muklish……

Mufti Rahmatullah Qadri

You might also like