3rd MONTH KA TEESRA CHAND….?

Sawal : As salamu Alikum mufti sahaab mere sawaal ye tha ki kya Teesra chand dekhnaa nahusiyaat ya giraftari maanaa jataa ? Kya ye teesrey maheeeney ka Teesra chand per hi hai giraftari ya koi aur mahinau per bhi hai aisa sharay Hukam kya hai zaraa jawab Inayat kijiye ?

(Ek islam bhai)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Quran e Kareem me Chand(Moon) ke bare me sawal kiya gaya ke jab Chand Shuru mahineh me Nikalta hai,to wo chota hota hai ? Phir Baad me Bada ? To phir Baaz logo ne Chand chota hone per Nahoosat aur Bada hone ko Masarrat wa Sa’adat kaha !! Aur Baaz ne kuch aur kaha gharz ke har ek ne apni apni Baat kahi, pgir aap se us bare me sawal kiye ? To
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) to Allah ne is Baat per Ayat ko Nazil farmakar kaha ke :Aye Mere Habeeb Sallallahualihiwasallam aap farma dijiye ke :
“WO CHAND LOGO KE WAQT AUR HAJJ KE AYAAM BATANE KA ZARIYAH HAI”
(Al Quran,Vol/1,Surah Baqarah ayat :189),
Lehaza Teesre Mahineh ka Teesrah Chand (Third Moon of Third Month) ka Chand dekhne se Nahoosat aur Giraftari hona ye Daur e Jahiliyyat ke Aqayid me se hai,iska Islam aur Islami Taleemat se Koi Ta’alluq Nahi hai,aysi Fikar wa Rivaj se Har Musalman ko mahfooz hokar apne Eimani Taqat ko aur mazboot karna hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarukislam,com

You might also like