AKHIRI KI 2 RAKAAT ME ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Agar isha ki farz namaj me se 2 rkat chhut gyi…. or baki 2 rakat jamat me shamil ho gye… ab jo pehli 2 chhuti huyi rakat ada kar ne k liye… sur e fatiha ke bad konsi surah padhe.. immam shahab ne pehle do rakat me surahe alam nashrah or sura he kausar padhi he..

(Pathan Arif Khan),

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.. Jab Isha ke Pahle ki 2 Rakat Chooti hai,Imam ke salam pherne ke Baad pahle ki 2 Rajaat Ada karna hai,aur isme Surah Fateha ke Baad Zammah surah imam jo Padhe hai,wahi padhna Zaroori Nahi hai,Balke Jo Yaad ho wahi Padhna hai.

(Sharh Ul Wiqayah,Vol/1,)

You might also like