DARSE JAMIUT TIRMIZ,CHAPTER :SALAH, DAY :162

Hazrat ABDULLAH IBNE MAS’UOOD(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Mai Namaz ada kar raha tha,to waha Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) aur Abu BAKAR aur Umer(raziyallahuanhuma) bhi tashreef farma the,to jaise hi meri Namaz mukamml hogayi to maine Allah ki Tareef Bayan ki,phir Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) per Durood e Paak padha,Phir maine apne liye dua maangi to Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Ab Maango jo Maangna hai,ab Tumhe Sab Kuch ata kiya jayega.

(Vol/1,H,No: 596),

Dars : Piyare Islami Dosto,Qurban jaye Sahaba e kiram(raziyallahuanhum) ki is rahnumayi aur Aqeedat per ke Allah se dua maangte waqt bhi apne Rasool(sallallahualihiwasallam) per Durood padhna Nahi bhoola,balke aane wali ummat ko ye bata diya aur raastah dikhaya ke ,ALLAH KE PAAS DUA QUBOOL HONA HO TO PAHLE RASOOL(sallallahialihiwasallam) per durood bhejna hoga,jab durood ke baad dua ki jayegi to ab us dua ko zaroor qubooliyat mil jayegi,

aapke is Amal ko dekh kar Aap sallallahualihiwasallam ne roka nahi balke ye Sanad ata kardi ke ab jo bhi tum maango ke tum ko ata kiya jayega,,to dosto ye dua ke aadab hai.hame is per amal karna chahiye.

Allah hum sabko sahi samajh kar Amal ki taufeeq ata kare,,Ameen.

 

You might also like