DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 534,Hadees No :2321,

 

Hazrat Abu Bakr Siddiq (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Log Zulm ko dekhe aur Usko Na Roke to Qareeb hai,ke Allah Saare Logo ko Uski Saza Dega.
(Vol/2,Hadees No :2321),
Dars : Deen e islam me Zulm karna aur Zulm Sahna Dono Mana hai,phir Jo Taqat rakhe aur uske Saamne kisi per Zulm kiya jaye to usko Apni Taqat ke lehaz se Rokna bhi zaroori hai,kyu ke Islami Taleemat me ek Ahem taleem Doosro ki Madad karna hai,to yaha Mazloom ki Madad Zulm rokte huve karna hai,
■■ Zulm ka Matlab sirf yahi Nahi hai,ke Kisi ko Baghir wajah ya Zaati Mafaad keliye Maarna hai,balke Har wo Kaam wa Baat jo Uske Maqam ke Alawah me istemal ki jaye to usko Zulm kahte hai,jisme Mansab,Maal,Izzat,Be Hurmati etc..Sab Shamil hote hai,
●● Zulm Karne Wala Koi bhi Shaks Apni Zindagi me Sukoon aur Izzat ki Zindagi Nahi guzarsakega,kyu ke Allah us se Sukoon aur Izzat dono Dunya me hi Cheen lete hai,aur usko Be Izzati wali Zindagi ata karte hai,jabke usko Waqti izzat mil bhi jaye to koi Faidah Nahi hoga,
♢♢ Jis per Zulm kiya jaye yani Mazlum ki Bad dua se Bachna Chahiye kyu ke Jab wo Dua karta hai,Uske Aur Allah ke Darmiyan koi Pardah Nahi hota hai,jiska Matlab Allah uski Dua ko Jald Qubool karta hai,
To hame chahiye ke Zulm karne aur Zulm Sahne se bache aur Mazlum ki madad karne wale bane..
Allah hame Mazlum ki madad karne wala Banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like