DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 535,Hadees No :2323,

 

Hazrat Huzaifah Bin Yaman (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qasam Hai,Us Zaat ki Jiske Qabzah e Qudrat me Meri Jaan hai(Allah) ke Tum Zaroor Bhalayi Ka Hukm do,aur Burayi Se Roko,Warna Allah ka Azab Sab per Nazil hoga,Phir Tum Dua bhi Karoge to Tumhari Dua Qubool Nahi ki jayegi.
(Vol/2,Hadees No :2323),
Dars : Bhalayi yani Neki Ka hukm dena hai,aur Neki bhi karna hai,Burayi se Rokna bhi hai,aur Khud bhi rukna hai,ye isliye Bayan kiya gaya hai,ke Qiyamat ke Qareeb Jab koi Nek Kaam ki Dawat de to Public me se Aksar log us shaks ko Dili taur per Bura samajhne lagenge aur usko Dushman ki Nigah se dekhenge,Jabke wo Achayi ki taraf Bula raha hai,Lekin Log Dunya me Dube huve honge aur Deen se Door honge jiski wajah se ye sab Hoga..!!
■■ Qiyamat ke Qareeb Deen ki Khidmat aur Deen pe Qayim rahna Angaro pe Chalne ke Barabar hoga,jiski Wazeh Misal Aap Huffaz e Kiram wa Ulama e Ezam ki hai,Jo Apni Saara Bachpan, Jawani aur Budhapa Sab Deeni Taleem Hasil karne aur Deen Wa Musalmano ki Khidmat me laga dete hai,Lekin Baaz Log Unke Khamiyo ki Talash me lage rahte hai,jab koi Chota sa bhi Mauqah mil jaye to Apni Poori taqat unko Bad Naam karne me laga dete hai,wajah Unka Kaam “BHALAYI KA HUKM DENA AUR BURAYI SE ROKNA” ko Thame rahna hai,phir bhi wo Allah wa Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) ke Hukm ki Amal awari aur Akhirat ke khauff se apne Kaam ko jari rakhte hai,lehaza Agar Hum Ulama wa Huffaz ki Deeni Khidamat me Madad Nahi karsakte to unke Khamiyo wa Aybo ki talash me Na rahe to wo bhi ek Tarah ki Madad hi hogi,ye Baat bhi yaad rakhe ke Har kisi me koi na koi Khami Zaroor hoti hai,to Hamari Nigah khami se Hata kar Khoobi pe Rakhe to Ziyadah Behter hoga,warna Jab Ulama e kiram ye Nek kaam se Ruk jaye to Sab per Azab Nazil hoga,phir kisi ki dua qubool nahi hogi..!!
Allahu Akbar Kabeera…!!
To jo Apne Kaam me lage hain,unko apna Kaam karne dene me.hi sabki Bhalayi hai,
●● Bhalayi ka hukm aur Burayi se Rokna sirf Zuban se hi Nahi Balke Amal se Batana bhi Dawat e Deen me Aala Amal hai,ye Kaam Pahle apne Ghar se hi Shuru karna Ziyadah Munasib hai,insha Allah,
Allah hame Nek Baat Sun kar Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like