DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 543,Hadees No :2337,

 

Hazrat Abdullah Ibne Umer (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke Daur e Mubarak me Chand(Moon) ke Do Tukde huve to Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Tum is Baat ke Gawah Hojavo.
(Vol/2,Hadees No :2337),
Dars : Chand ke 2 Tukde hone ke Bare me Imame Nasafi(rahmatullahialih) apni Tafseer me likhte hain,ke Jab Abu Jahel aur Doosre kafiro ne Nubuvvat ki Daleel talab kiya to Aap sallallahualihiwasallam ne apni Ungli ke ishareh se Chand ke 2 Tukde farma diye,aur Kaha is Baat ke tum Gawah hojavo.
(Tafseer e Nasafi,Vol/4),
To Ye Mojizah bhi tha aur Qiyamat ke Qareeb hone ki Alamat bhi thi,jo Momino ko Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) hi Aakhiri Nabi hone aur Aapke Baad koi Nabi na aane ki bhi Daleel hai,
Aur Momino ko Akhirat ki Tayyari karne ki talqeen bhi hai.
Allah hame Nek Taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like