DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 571,Hadees No :2380,

 

Hazrat Sauban (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Qiyamat Qareeb hogi to meri Ummat ke baaz Qabeeleh Mushreeko me mil jayenge aur wo bhi Buto ke Pooja karenge,aur Meri Ummat me se Anqareeb 30 Log khud ka Nabi hone ka Jhoota Dawa karenge jabke Mai hi Akhiri Nabi hoon aur Mere Baad Koi Nabi Nahi hoga.
(Vol/2,Hadees No :2380),
Dars : Deen e islam hi is dunya me Ek Kamil Deen hai,isme kisi qisam ki kami wa kisi ke Saath Na insaafi Nahi hai,aur Na hi kisi qisam ki khaami hai,bus Bando ke Samajh kar Amal karne me Kami wa Kotahi zaroor hojati hai,Deen e islam ka Har Hukm Insaani Fitrat ke muvafaq hai,is deen per Jo Marte dum tak qayim raha to wo 2 jahan me Kamiyab hoga warna 2 Jahan me Zaleel wa Ruswa hoga,
■■ Ummat ke Baaz Qabeeleh Ghareebi,Muflisi aur Baaz doosre Asbaab aur apni Eimani Kamzori aur Deen se Doori ke Nateejeh me Mushriko me unke Aamal ko Pasand karte huve mil jayenge jo ke unko Pata bhi Na hoga phir Ahistah ahistah Na Karah Buto ki pooja bhi karenge,lehaza Hame Chahiye ke Apni Awlaad ki Deeni Mahol me tarbiyat kare,aur islami Taleemat se Wabastah rakhe jis se Walidain aur Awlaad dono khush Haal rahenge warna Sab pareshan hojayenge..!!
Allah hame Deen e islam per qayim wa dayim rahne ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like