DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 588,Hadees No :2418,

Hazrat Ubay Bin Ka’ab (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Hawa(Air) ko Bura Mat Kaho,jab tumhe Hawa se karahat mahsoos ho,to ye Dua padho :
*اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِ هَذِهِ الرِّيحِ وَخَيْرِ مَا فِيهَا وَخَيْرِ مَا أُمِرَتْ بِهِ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ هَذِهِ الرِّيحِ وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُمِرَتْ بِه*
*Allahumma Inna Nas Aluka Min Khairi Hazar Reehi Wa Khairi Ma Feeha Wa Khairi Ma Umirat Bihi Wa Nawuzu Bika Min Sharri Hazar Reehi Wa Sharri Ma Feeha Wa Sharri Ma Umirat Bihi*
(Vol/2,Hadees No :2418),
Dars : Hawa Jab bhi Chalti hai,to wo Allah ke Hukm se chalti hai,uska Chalna kabhi tezz hota hai,to kabhi Dheema,aur kabhi kuch andaz me to har Martabah ke chalne aut uska farq Mahol ki munasabat keliye Allah ki Hikmat se hota hai,lekin Bandah usko samajh Nahi paata hai,Shikwa Shikayat se us se Hasil kiye jane wale faideh ko kho deta hai,lehaza ayse waqt Bandah ye Dua padh le to Sehat ke Saath Barkat bhi Naseeb hojayegi,insha Allah.
Allah hame is per Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen.
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like