DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 589,Hadees No :2419,

 

Hazrat Fatimah Binte Qais (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mujhe ye Hadees Batane se khushi hoti hai,Jo Tameem Daari(raziyallahuanhu) ne Mujh se bayan ki hai,ke : Falasteen ke Chand Log Samanadar me Sawar huve to kashti(ship) ne unhe Ek Jazeereh me chod diya to Wo Waha Ek Bade wa Bikhre Baalo wale Janwar ko paye to us se sawal kiye ke to Koun hai ? Usne kaha Mai JASOOS Hoon,phir sawal kiye kiya tum hame Kuch Khabre(News) bata sakte ho to usne kaha Mai Na Kuch khabar lunga aur Na hi dunga,lekin agar aap Gavu(Village) ke Kinare per javoge to waha ek shaks hoga jo tum ko khabar dega aur tumse khabre lega,to wo log waha gaye aur us shaks ko paya to wo in logo se sawal karne laga ke ,Zaghar aur Buhairah jo Kunve hai,(jo kayi saal se paani se khaki the) kiya usne paani agaya ? Kahe Haan,wo Paani se bhar chuke hain,phir Urdun aur Falasteen ke darmiyan BEESAN KA KHAJOOR ke Baagh me khajoor lag gaye ? To kahe Haan,khajoor bhi lag gaye aur Lazeez bhi hai,phir sawal kiya :Aakhiri Nabi (Sallallahualihiwasallam) agaye ? Kahe Haan,Aapki tashreef awari hogayi hai,sawal kiya unke saath logo ka kiya Moamlah hai ? Kahe Aapki Taraf Log Bhagte huve aarahe hai,to wo Ek Lambi Saans liya to humne sawal kiya tu Koun hai ? To wo Kaha “MAI DAJJAL HOON” Phir kahe wo Har Shaher me Dakhil hoga,Lekin Madeenah Munawwarah me dakhil Nahi hosakega.
(Vol/2,Hadees No : 2419),
Dars : To Is Hadees e paak se Malum huva ke Dajjal Abhi Dunya me Maujood hai,jo Falasteen ke ilaqo ke qareeb hi hai,jo Anqareeb logo me zahir hoga,
●● Dajjal Har jagah ja sakega lekin Madeenah munawwarah me dakhil nahi hosakega,Kyu ke uski Khud Allah Hifazat karenge,isme is baat ki taraf isharah bhi hai,ke Jo Dajjali Wa Fasadi Zahen wale honge Unhe kabhi Madeenah me ziyarat bhi Naseeb na hogi,lehaza Zahno ko paak rakhna hai,
Qurban jaye piyare Habeeb sallallahualihiwasallam ki is rahnumayi per taake Ummati apni apni tayyari karsake,
Allah hamari Hifazat farmaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like