DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 786,Hadees No :2697,*

Hazrat Abu Hurairah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apas me Dushmani aur Boghz se Bacho kyu ke ye Deen ko Khatam kardenge.
(Vol/2,Hadees No :2697),
Dars : Jab koi Shaks kisi se Apasi Duahmani aur Boghz rakhta hai,to sab se pahle uske Dil ka Sukoon Cheen liya jata hai,aur wo Hamesha inteqami jazbeh me laga rahta hai,phir use Na Dunya ki fikar hoti hai,aur Na hi Deen ki phir Jab ye Cheeze usme Parvan chadhti hain,to Ab wo koi Deeni Hukm ka bhi NawuzuBillah lehaz rakhta hai,aur Aage badh jata hai,jis se uska Deen bhi kahatam hojata hai,to in saari burayiyo se Bachna hai,to sab se pahle Dushmani aur Boghz se mahfooz rahna hai,
■■ Deen e islam Piyar wa Mohabbat,Rahem wa Shafaqqat Baante wala Mazhab hai,jo Dushmani aur Boghz se koso Door rahne ki hame taleem deta hai,yahi wajah hai,ke aaj utni Azmayisho ke Ba wajood islam Saare Aalam me pahla huva hai,aur insha Allah mazeed pahlega,
●● Apasi Boghz wa Dushmani kisi bhi cheez se aasakti hai,chahe Mansab ho ya Maal,Aur to Aur Basa Awqaat ilmi taraqqi ki wajah se bhi hosakti hai,jo ke Bohat hi buri Baat hai,hame in pahlu per ghaur karke Boghz wa Dushmani se Bachna hai.
Allah hame Boghz aur Dushmani karne aur karne walo se mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like