DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 789,Hadees No :2700,*

Hazrat Abu Bakrah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kuch Ayse Gunah hain,ke Jiski Saza Allah Dunya me Jald deta hai,phir Akhirat me bhi uski Saza milti hai,
Wo hai,Baghawat karna,
Doosra Rishtehdaaro se Ta’alluq tod lena hai.
(Vol/2,Hadees No: 2700),
Dars : Jab Allah is gunah ki 2 tareeqo yani Dunya aur Akhirat me bhi saza de to samajh le ke ye kitne Bade gunah hain..!!
■■ Baghawat : Ye Ek tareeqeh se Na Shukri bhi kahlati hai,jo Maqam ke etebar se badal jati hai,
Ye Badsha ke Saath hoti hai,air uske saath,Maa,Baap,Ustaad,aurr Bhai,Bahen..etc..inke Ehsaano ko Bhool kar unke Mansab me Baghir Haq wa Salahiyyat ke ajane ya Na Ahlo ko unke Mansab ko hawale karne ka naam hi Baghawat,jo ke Bohat Bura hai,
Aur Rishtehdaaro me kayi Jaane ya Anjaane me kotahiya hojati hain,to unko jo Maaf kardeta hai,aur Ta’alluq ko qayim rakh leta hai,to Allah usko qiyamat me din bhi izzat se nawazta hai,
Lehaz hame ye aur doosre sab gunaho se bachna hai,
Allah hamari Hafazat farmaye..
Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like