DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 809,Hadees No :2732,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jannat me Jannati Bandeh Ko itni.. Jimah(izdiwaji Ta’alluqat) ki Quvvat me Ata ki jayegi to Ek Sahabi (raziyallahuanhu)ne sawal kiya kitni Ya Rasoolullah?
To apne Farmaya : 100 Logo ki Quvvat.
(Vol/2,Hadees No:2732),
Dars : Jannat ke Nemate Be shumar hain,unme Se Baaz Nemate aysi hoti hain,ke unse faidah Hasil karne aur Rabb ki Nemato ki Shukrguzari keliye Uske Muwafaq taqat bhi honi hoti hai,to unme se Jannati Logo ko waha Hoore bhi milengi to Unse Qudrati Rishtah jodne keliye Bande ke paas Qudrat wa taqat bhi hona hota hai,to usko yani Ek shaks ko waha 100 Mardo ki Taqat di jati hai,taake ko Nemato ka sahi Andaz se istefadah karsake..
●● Jo Bandah Dunya me Allah ke Deen ki khatir Apni taqat se bhi ziyadah deen ke Kaamo wa Ahkaamo me apni taqat laga deta hai,to Allah uski Madad Dunya wa Akhirat Har do jahan me farmata hai,Chahe wo Madad Rohaani ho ke Jismani lehaza Dunya me bhi Bando ko Deen ke kaamo me ziyadah Sonchna Nahi hai,balke Aage Badh kar karne me hi kamiyabi Naseeb hoti hai.
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare..
Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like