DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 823,Hadees No :2749,*

Hazrat Sohaib (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Ayat tilavat farmayi me jisme kaha gaya ke : Jo Log Ache Aamal karte hain,to Unhe Nemate wa Barkate ata ki jayegi,phir farmaya ke Jab Jannati log Jannat me dakhil honge to Ek Nida Dene wala Nida(Awaz) Dakar kahega ke Be shak Allah ke Paas tumhara ek Wada hai,to kahenge ke Allah ne to Hamare Chahreh Munawwar kardiye,jahannam de Najat di,aur hame Jannat me bhi dakhil kardiya,(yani sab cheeze wade me hi to hai) wo kahenge Haan,magar ek Wada Allah ka Deedar bhi hai,to phir Saare Pardeh Utha diye jayenge Aur Wo Sab Allah ka Deedar karenge jo(Deedar) Jannat ki Nemato me se sab se Mahboob Nemat hogi.
(Vol/2,Hadees, No:2749),
Dars: Ache Aamal Ka Nateejah yaqeenan Achai hi hoti hai,jitne Ache Aamal karenge utni Achayiya Nemato,aur Barkato ki Shakal me Allah ata karega,jo 2 jahan me KhushHaali ka sabab hongi aur Bure Aamal ka Nateejah to Beshak Bura hi hoga,aur wo Har Haal me Bad Haal hi hoga Agarche ke uske paas kitna hi Maal kyu na ho wo BeChain wa Beqarar hi rahega..!!
■■ Jannat aur uski Saari Nemate Allah ki Banayi huvi cheeze hain,Jab unko dekhne aur milne se Itni khushi ho to phir jab uske banane wale se mulaqat wa sharfe Deedar Naseeb hojaye to us lamhe ki khushi Aalam kiya hoga..
Allahu Akbar Kabeera…
Allah hame Jannat me dakhilah Naseeb kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com.

You might also like