DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 831,Hadees No :2760,*

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannati Shaks keliye Adna si Nemat ye hai,uski Khidmat keliye 80000(Eighty Thou6) Khadim,72 Hoore aur Lulu,Zabarjad aur Yaqoot ke Motiyo ka Mahel hoga jo itna Bada hoga ke Jitna faslah Maqam e Jabiyah se San’aa tak hai.
(Vol/2,Hadees, No:2760),
Dars: Ye Jannati shaks ki kam se kam wali Namat ka zikr hai,jab Thodi se Nemat ka ye Aalam hai,to phir Badi se Badi Nemat ka Aalam kiya hoga..!!
●● Ye Nemato ka zikr Hadeeso me isliye Bataya gaya hai,ke Mòmin Bandah Dunya ki Waqti Mushkilo wa Museebato se Pareshan wa Na shukra Na bane,Dayimi Nemate uske Dil wo Dimagh rahe ke us se Mayoosi wa Na umeedi Door hojati hai,
■■ 2 Maqam ke faslo ke zikr se Jannati shaks ke Mahel ki Vus’at Batana maqsood hai.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like