DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 705,Hadees No :2591,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jis Bandeh ko Allah Zuban aur Satar(Sharamgah) ke Sharr se Bacha lega to Wo Bandah Jannat me Dakhil hojayega.
(Vol/2,Hadees No :2591),
Dars : Zuban ki Hifazat Karni ho to Kasrat se Zuban ko Allah ke zikr se Tarr rakhni chahiye kyu ke Jo Zuban Allah ke Zikr me mashghool rahegi to us zuban se koi Buri Baat Nahi nikal sakti hai,iska wahid ilaj yahi hai,iske alawah koi Nahi..
■■ Sharamgah ki Hifazat Zina aur Badkari se mahfooz rahne se hoti hai,uske Saath Saath Ahem Bunyadi Baat ye ke :Nigaho ki Hifazat karna hai,Haqeeqi etebar se aur Hukmi etebar se bhi Bad Nigahi de Bachna hai,
Haqeeqi Yani Barah e Raast Haram kardah Cheezo ko dekhna hai,aur Hukmi Yani Haram Kardah images aur Videos etc..dekhne se bhi Bachna hai,aur Unse Mahfooz rahne ki Allah se Dua aur Taufeeq bhi talab karna hai,kyu ke Ye Dua aur Khud se mehnat per hi Burayi se Hifazat aur Akhirat me Jannat milti hai.
Allah hame in 2 Cheezo ke Fitno se Mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like