DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 710,Hadees No :2599,

Hazrat Adiyyibne Hatim (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Allah Har Ek se Kalam karega uske aur Bandeh ke Darmiyan koi Tarjuman(Translater) Nahi hoga,Bandah Apne Seedhi Janib dekhe to uske Aamal nazar ayenge aur Bayi Janib Dekhega to uske Aamal Nazar ayenge aur jab Apne Saamne Dekhega to Jahannam Nazar ayegi,
phir Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jitna Hosake Apne Chahreh ko Jahannam ki aag se Bachalo,Agarche ke Khajoor ka Ek Tukda hi sadqah dekar.
(Vol/2,Hadees No :2599),
Dars : Qiyamat ka Din Hisab wala din hota hai,aur Badleh wala din bhi to is din Allah Har ek se uska Hisab poochega,Bandah us waqt Apne Aamal ke siwa kuch nahi payega,Na awlaad,Na Maal aur Na hi apni Shoharat Sab kuch Dunya me hi fana hojayenge,Bus Aamal uske saath honge,
Bandah Nek Aamal kiya hoga to wo uski Seedhi Janib honge aur Bure Aamal kiya hoga to uski Bayi Janib honge,Jo Aamal ziyadah honge uska Badlah diya jayega,
“Wo Kitna Khush Naseeb Bandah hoga jo Pahli Baar Apne Rabb se Kalam bhi kare aur Nek Aamal ko pesh karke kamiyab bhi hojaye aur uska Rabb us se Raazi bhi hojaye”
Allahu Akbar Kabeera…
■■ Ab Hame Doosre kiya karre ya kiya Nahi karre un Baato padna Nahi hai,Balke hame khud ke Baare me sonchna hoga aur Aamal ko Sudharna hoga,kyu ke Aaj kal ke Mahol me yahi Baat Aam si hogayi hai,ke Log Khud se ziyadah Doosro per Nazar rakhe huve hai,uska Anjaam khud ko Pareshan karne ke alawah kuch Nahi hai.
Allah hame Qiyamat ke din kk tayyari karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like