DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 724,Hadees No :2620,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Maine Nabi e Kareem (Sallallahualihiwasallam) se Arz kiya ke Aap meri Qiyamat ke Din Shifa’at farmaye ? To Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Main Shifa’at karne karunga,to phir Raavi ne kaha : Ya Rasoolallah aapko mai kaha Talash karoon ? To aapne kaha,Mujhe Pul Sirat per Pavoge,Agar aapko waha Na milu to Meezan per agar waha bhi Na Milu to Hauz e Kausar per pavoge,ye Teen maqamaat me se kahi Na kahi zaroor mujhe paloge.
(Vol/2,Hadees No :2620),
Dars : Subhan Allah Qurban jaye Aaqa e Do Jahan Sallallahualihiwasallam ni Rahnumayi wa Bakhshish karvane ki tadap per ke hum Gunahgaar Ghulamao ko Aaqa Qiyamat ke Din ke saath dene aur Maqam ki rahnumayi bhi farma rahe hai,ke kahi Mere Ghulam us Dardnaak wa Haibat Naak Manzar wa Maqam me Pareshan Na hojaye..!!
Ab Hum Ummatiyo ko Chahiye ke Aaqa ke Darbar me Hazir hone aur Aap se Mulaqat karne ki tayyari Nek Aamal se kare warna Nek Aamal ko Chodne wala Qiyamat me Andha(Blind) hojata hai .!!
Allahu Akbar Kabeera..
Allah hame Akhirat me Bhi Aankh wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like