DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 729,Hadees No :2627,*

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Meri Ummat me se Ek Shaks Koi Badi Jamat ki Shafa’at karega to koi Ek Qabeeleh ki to aur koi Choti Jamat ki shafa’at karega aur Koi to Sirf Ek Admi bhi Shafa’at karega phir Saare Jannat me Dakhil hojayenge.
(Vol/2,Hadees No :2627),
Dars : Ye Khusoosiyat hai,Ummate Mohammadiyyah ki ke uska Har Nek Bandah Rab ke Fazal aur Apne Nek Aamal ke lehaz se Logo ki Shafa’at karega koi Ziyadah to koi kam lekin Sab Haq per rahne wale jannat me jayenge…Insha Allah,
Aur jo Baaq ke 72 jamaat wale honge sab Jahannam me jayenge aur Ghair Muslim unka to thikanah hi Dozakh hai…
●● Ye Baat bhi zahen me rahe ke ye Shafa’at ka Marhalah Qabr ke Marhaleh ke Bohat Baad wala hoga us se pahle Qabr ki manzil ko tay karna hoga,Kyu ke Baaz log Bakhshish ke Bahaneh Gunaho me lage rahte hai,jo ke Islami Aqaayid ke Bilkul Khilaf hai.
Allah hame Nek Taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like