DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 739,Hadees No :2641,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Ek Cheez me Kuch Kami Zaroor rahti hai,lekin us kami ka bhi Ek Waqt hota hai,jab Bandah us Kami ko Door karne ki koshish kare to wo Kami door hojayegi aur wo Bhalayi ke Qareeb hojayega,to tum us se wahi Umeed karo,Agar us kami ki taraf Ungliyo se isharah bhi kare to Usko Shumar Mat karo.
(Vol/2,Hadees No :2641),
Dars : Hadees e paak me jis kami ki taraf ishararah kiya gaya hai,ye insaan ki har us Kami wa Khaami per utarti hai,jis se Bandah ke kirdar aur Shaksiyat per farq aata hai,jaise Baaz me kuch Akhlaaqi kami,aur Baaz me Nek Adato ki kami yani kuch Buri Aadate ajati hai,ex..Cigerate Smoking etc..Raato me Jald Na sona,Waqt waste karna,Maa Baap ki Baat Na maan na etc…kayi cheeze jo Kamiyo me shumar hoti hai,lekin un sabka ke khatam hone ka ek waqt zaroor hota hai,aur wo Waqt Bandeh ka un Buri Baato wa Aadato ko Chodne ki Niyyat karne se shuru hojata hai,Bas bandeh ki Niyyat wa iradah hi sab se Ahem hai,aur usme Allah ki Madad bhi Shamil e Haal hojati hai,aur Wo Apne Maqsad me Kamiyab hojata hai.
Allah hame Har Buri Aadat ko Chodne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like