DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 758,Hadees No :2664,*

Hazrat Ali (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Masjid me Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke saath tashreef farma the ke,Hazrat Mus’ab Bin Umair(raziyallahuanhu) aye to unko Purane aur Pevan wale kapdo me dekha to Unki Maazi(Past) ki Nemato ko yaad karke aap sallallahualihiwasallam Rone lage aur farmaya : Us waqt tumhara kiya Haal hoga Jab Akhiri Zamanah hoga to Ummati Subah me Ek Kapdo ka joda aur Sham me Doosre kapde pahnega,aur Khane ki Bartane Waqfeh Waqfeh se Badli jayegi aur Mukhtalif Qisam me khane khayenge,aur Apne Gharo ko Kabatullah ke Sajane ki tarah sajayenge..!!?
To Sahaba ne kaha :Ya Rasoolallah Sallallahualihiwasallam to phir Wo Zamanah shayad Behter hoga ke Hame ibadat me ziyadah Waqt milega aur Mashaqqate door hojayengi..
To aap ne farmaya : Nahi,Balke Ye Zamanah Aakhiri Zamaneh se Behter hoga.
(Vol/2,Hadees No :2664),
Dars : Allahu Akbar Kabeera..to Malum huva ke Bandah apni Rahat aur Najat Maal wo Dawlat,Zeenat wa Aarayish me Samajhta hai,jabke Hamare Aaqa sallallahualihiwasallam ne bataya ke Wo Maal wo Dawlat me Nahi Balke Saadgi me hi naseeb hota hai,to hame Dunyavi Mushkilo se darna nahi hai,balke Unka muqablah saadgi se karne me hi Jeet hoti hai,warna Zahni Tanav(depression etc..) ka Shikar hona padega..
●● Buzrugo ke kaha ke Jab Bandeh me Ghuroor ajaye to usko Chahiye ke Pevandar kapde pahna kare to us se uska ghuroor kahtam hogayega..insha Allah.
Allah hame Haqeeqat ko samjhne ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like