*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter : AZAAN ,Day : 59,

 

Hazrat Ziyaad Bin Haaris sudayi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne Mujhe Fajar ki Azaan dene ka hukm farmaye,to maine Azaan de di,jab Iqamat ka waqt aya to Hazrat Bilal(raziyallahuanhu) iqamat dene keliye aage Badhe to Aap(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Maqam e suda ke rahne wale bhai(Hazrat Haris) Ne Azaan di hai,lehaza jisne Azaan di hai,to wahi Iqamat bhi de.
(Vol/1,H,No :199)
Dars :Jo Azaan de wahi iqamat dena Ulama e kuram ne usko “Sunnat” kaha hai,yani jo azaan de agar koi doosra shaks iqamat de to iqamat hojati hai,
Jaise agar imam azaan de aur namaz padhane keliye wo aage badhe koi doosra iqamat de to iqamat wa Namaz dono hojate hai.

Plz..Share it to All,For islmic Service.

You might also like