DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 540,Hadees No :2330,

 

Hazrat Khabbab Bin Aratt (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Maine
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ko taveel Namaz padhte dekha to uske Bare me sawal kiya to apne farmaya : Ye Raghbat wa Haibat wali Namaz thi,jisme Maine Allah se 3 Cheeze Maangi to Allah ne mujhe 2 Cheeze ata ki aur Teesri(3rd) cheez se Mana kiya !
Maine Pahli Cheez Meri Ummat per Qahat Saali Na aane ki dua ki to Allah ne Qubool kiya,phir Meri Ummat per Ghairo ka Qabzah wa Ghalbah se Hifazat ki dua ki to Allah ne Qubool kiya lekin jab maine Meri Ummat ka apas me Tang karne se hifazat ki dua ki to Allah ne mujhe us se Mana kiya.
(Vol/2,Hadees No :2330),
Dars : to Malum huva ke Ummate Mohammadiya ko koi Doosri Qaum maghloob Nahi karsakti Na Kafir,Aur Na hi Yahoodi wa Nasrani,Balke Ye Apas me hi Ladte rahenge,jiski Wazeh Misal Hamare Islami Mulko ki hai,ke Yaman aur Saudia ki apasi dakhili Jange,etc…
●● Ummate Mohammadiya per Qahat Saali Kabhi nahi ayegi,yani Zameene Sarsabz wa shadab rahengi,kisi ko Rizq ki ziyadah fikar Na hogi,yani Mehnat karne se Rizq mil jayega,
■■ EK DOOSRE KO TANG KARNA !
Is Ummat me Ek Doosre ko Tang karna Hamesha Baqi rahega,Lekin jo Nabi e Kareem Sallallahualihiwasallam ki Taleemat ko apnayega to wo is Bala se Mahfooz rahega,kyu ke Jo Nabi e Rahmat ka hojata hai,to Wo Dunya ki Zahmato wa Azmayisho se Mahfooz hojata hai,
Ek Doosr ko Maal se Zubani Takleef se Mansab ko cheen ne se aur khushiyo ko Cheen kar kiya jata hai,Jo Abhi bohat ziyadah hora hai,Allah sabko is se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like