DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY : 221,

 

Hazrat Ala Bin Ziyad(raziyalkahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Janazah Mard(Male) ka ho to uske Sar(Head) ke Paas Khade hokar Namaz padhe,aur Jab Janazah Aurat(Female) ka ho to uske Darmiyan me Khade hokar Namaze Janazah padhe.
(Vol/1,H,No :1051),
Dars : Ye Namaz e Janazah ke Aadab me se hai,aur Namaz padhane wala Myyit ke Qareeb Na tahre Balke kuch faslah bhi rakhe to ziyadah Behter hoga,
Aur Imam ke Peeche Agar log Kam ho to 1 Saff(Line) ya 3,Ya 5,Ya 7 ,11 Saffe(lines) Bana lena Mustahab hai.

You might also like