DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY :224,

 

Hazrat AbuMarsad Ghanavi
(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qabro per Mat Baitha(sitting) karo
aur Qabro ke Saamne Namaz Na padha karo.
(Vol/1,H,No :1069),
Dars: Momino Agar Koi Qabr per Baith ta hai,to us se us qabr ki Be Adabi hoti hai,isliye us per Baithne se Mana kiya gaya hai,lehaza Hadees se Maloom huva ke Qabro ki Tazeem karna hai,aur Aur Qabro ki Tazeem Shirk Nahi hai,
Haan,Qabro Ka Tawaf karna bhi Mana hai,
kyu ke Quran wa Hadees me Sirf Kabatullah Shareef Ka Tawaf karna aya hai,Baaqi kisi bhi maqam ka Tawaf karna Nahi hai,Kyu ke Tazeem aur Tawaf me Bohat Bada farq hai,
■■ Qabro ke Saamne Isliye Namaz padhna Nahi hai,kyu ke aysa Namaz padhne se Shirk Ka Shayebah hota hai,
●●Agar Deewar ke Peeche Qabr ho to ab wo deewar samne ho to Namaz padh sakte hai,koi Haraj Nahi hai,

You might also like