DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 338,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tum Khana khalo to apni Haath ki ungliyo ko achi tarah Saaf karlo,kyu ke pata nahi kisme Barkat hogi.
(Vol/2,H,No :1914),
Dars :Khane ke Baat ungliyo ko Moo(Mouth) se Saaf karna yani Chatna Sunnat hai,
Kyu ke ungliyo me bhi khane ke kuch daane ya Khane ka maghz laga huva rahta hai,aur ye bhi khane ka hi Hissah kahlata hai,to isme bhi Barkat hoti hai,to Barkat Na khone keliye ye hukm diya gaya hai,
■■ Khane me Barkat kayi tarah ki hai,jinme….
●● Dil Jaag jata hai,Yani Allah ka Zikr dil me hota hai,
●● Shukr ka Maaddah paida hota hai,
●● Ibadat me Lutf wa Lazzat paida hoti hai,
●● Badan me Sehat hoti hai,Beemariya door hoti hain,
●● Rahat ki Neend Naseeb hoti hai,
●● Allah uske Rizq ke darwazo ko khol deta hai,etc..
Allah hamari har cheez me Barkat ata kare…Ameen..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like