DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 309

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Hazrat Moosa (Alihissalam) Allah se Kalam karne keliye gaye the to us waqt Wo Woon (Bakrah ya Bakri ya Potla,Mendah ke Baslo se Bane huve kapde) ki Chadar,Jubbah,aur Paijamah pahne huve the,aur us waqt unke Pairo(foot) me Gadhe(Ass) ke chamdeh ke Nalain the.
(Vol/2,H,No : 1838),
Dars : Is hadees e paak se ye malum huva ke..Woon se bani huvi har cheez istemal karsakte hai,jaise..Suiters,Caps,Shirts,aur paints,Bags..etc..etc..ye Mard aur Aurat dono use karsakte hai,kyu ke ek doosri hadees me Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne unke istemal ki ijazat diye hain,
●● Doosri Baat ye ke,Gahdeh ka Chamdeh ko jab Dibaghat de to us se bani hovi cheez bhi istemal karne ki ijazat hai,dibaghat ki tafseel pahle guzargayi hai..

Plz..Share it to All,for more visit our islamic wen site…anwaarulislam,com.

You might also like