DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 322,
Hazrat Arfajah Bin As’ad(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,ke Jab Yaume Kilab(jang ke din) Meri Naak(nose) Zakhmi hogayi to Maine uski jagah Chandi (Silver) se usko jod liya tha to kuch din baad Wo theek Na huvi to Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne us jagah Sona(Gold) ko istemal karne ka Hukm farmaya.
(Vol/2,H,No :1878),
Dars : Is hadees e paak se Ulama wa Fuqaha e kiram yahi Hukm Nikalte hain,ke Ilaj(treatment) keliye Badan ke kisi bhi hisseh me jaise..
Sone ke Daanth,Sone Ki Naak etc…istemal karne ki ijazat hai,
■ Agar Wahi Sona (Gold) ke Daanth etc..Shauq ya Fashion keliye istemal kar rahe ho to uski ijazat Nahi hai,Ta ke Dawlat me israaf(Be Fuzool kharch) lazim na aaye.
Allah hame Apna Maal Sahi Maqam per kharch karne wala banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.