DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 324,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum me se koi Apne Pairo(Foot) me Ek hi Juta(Nalain,Shoe,)Pahen kar Na chale,Dono Pairo me Juta Pahen le ya Unko kisi cheez se dhaank le.
(Vol/2,H,No : 1885),
Dars : Ye Juta,Shoe,Chappal,Socks etc,Pairo(foot) ka Libas hote hai,isliye is masleh ko Hadees ke is chapter me laya gaya hai,
aur ye bhi kiya Nayab wa Aman wala Deen
,Deen e islam hai,ke isme Jab Pairo ki Hifazat ka hukm Hadees me aata hai,to ye Deen Ek Insaan ko Maarne ka Hukm kise de sakta hai ? !
Yaani,Musalman Apne Gunaho ki wajah se BadBakht hosakta hai,Magar wo “DAHSHATGARD” kabhi bhi Nahi hosakta hai,kyu ke Islam ka Naam hi Salamati aur Aman dena hai,
■■ Ek hi Pair me juta ya chappal pahenkar chalne se isliye roka gaya hai,ke isme Pairo ko Kisi cheez se zakhmi hone ka andesha hai,
●● Thakawat ka sabab banta hai,
●● Dekhne walo ko bhi Ajeeb malum hota hai,aur ek pair me jota pahen na ye kabhi faision ban hi Nahi sakta hai,agar koi aysi Be Hikmati wali tarkeeb faision ke Naam se kahe ya bataye to wo Be Waqoof hoga,
■■ Khualasah ye ke Pairo me dono Jute ya Chappal Unki Hifazat aut Rahat keliye pahne jate hai,maqsad yahi hai,

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like