DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 405,Hadees No :2057,

Hazrat Abu Ayyub Ansari(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ek Musalman ko Doosre Musalman se 3 Din se ziyadah Baat kiye baghair Nahi rahna chahiye,Jab wo Dono apas me mil jaye to jo Pahle Baat karega wahi Behtreen Shaks hoga.
(Vol/2,Hadees No:2057),
Dars :Insaani fitrat ke etebar se Jhagda wa ladai hona Aam baat hai,
Lekin us Jhagde se Jald Musalahat aur samjhota karlena ye Islam ki Nemat wa Khuoobsurti hai,is per Allah Bandeh Ajr bhi ata karta hai,
Lekin……….?
●● Aaj Hum Ek doosre Ka ye moamlah hai,ke Koi Hamari Dawat me Shareek na ho to Hum bhi uski dawat me shareek Na honge aur us se Baat us waqt tak Band karenge Jab tak ke wo hamari koi doosri dawat me shareek na hojaye….!!??
Yaha Hame Apni Izzat piyari hoti hai,Shareeat Nahi….?
●● Paani ke Moamlah ho ya Bacho ki Choti si Ladayi ka maslah me Padosiyo se kuch Na ittefaqi hojaye to hum kayi saal tak unse Baat Nahi karte …?!
Ye Hamara Islam Nahi hai,
*Islam Ekhtelaf ko Bardasht karke Sabko Apne Saath karlene ka Naam hai*
“Yaad Rahe ke Deen e Islam Insaan ki Khamiyo wa Aybo ko Dekh kar us se Door hone ki Taleem Nahi deta hai,Balke Doosro aur Apni Khamiyo wa Kamzoriyo ko Saath Rah kar Milkar Door karne ki Taleem deta hai”
Allah ham sabko milkar Zindagi guzarne wala banaye…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like