DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH, DAY : 238,

Hazrat Ayyub(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : 4 cheeze Saare Rasoolo(Alihimussalam) ki Sunnate hain,
1)Haya Karna,
2) Khushboo(Atar)Lagana,
3)Miswak Karna,
4)Nikah Karna,
(Vol/1,H,No :1101),
Dars :ye Batlayi gaye 4 Kaam ambiya e kiram ki sunnato me se hain,aur Hamari Guftugu Nikah se hai,to doosri cheezo ki guftugu apne maqam per insha Allah karenge…
Lehaza,Nikah Jab Saare Rasoolo ki Sunnat hai,to Baaz jo Rasoolo ne Nikah Nahi kiye ?
Jawab :jo Rasoolo ne Nikah Nahi kiye ka matlab Unke Nikah se pahle hi Unka Wisal hogaya tha,aur wo Nikah ke bare Ittefaq bhi rakhte hain,to Rasoolo ka kisi Baat ka iqraar karna bhi Sunnat hota hai,
■■ Nikah ki islam me Badi Ahmiyyat hai,kyu ke Jab ye Rasoolo ki Sunnat hai,to Jo Bhi Bandah Nikah karta hai,aur apni Zimmahdari Nibhata hai,to Usko Rozanah Sunnat ka Sawab ata kiya jata hai,Kyu ke “SUNNAT PER AMAL KARNA IBADAT HAI,to ibadat ka sawab bhi to hota hai…
●● DARDMANDANAH APPEAL….
Aye Allah aur Rasoolullah
(sallallahualihwasallam) per Eiman rakhne Walo Allah ke waastah ke :NIKAH KO SUNNAT HI SAMJHO”TIJARAT AUR ZARIYAH E SHOHRAT NAHI ”
phir dekho Zindagi me kitni Khushiyo ko Allah Naseeb me daal dega..insha Allah
Ye bohat hi Hassas topic hai,insha Allah Aajkal jo baate rivaj me ayi hain,us per guftugu hogi so keep continue reading this Dars……

You might also like