DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 242,
Hazrat Muqhirah Bin Shobah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ke Unhone Ek Khatoon ko Nikah ka Paigham Bheje,To Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Ladki ko Nikah ka Paigham bhejo to us Ladki ke bare ne Jaan lena Behter hai,aur us se apas (Khandano) me Mohabbat Baqi rahegi.
(Vol/1,H,No :1110),
Dars : Is me paigham ke Adaab bayan kiye hai,ke Nikah ka paigham jisko bhej rahe hain,aur jin se Nikah karne ka iradah rakhte ho to pahle unke bare me Malumaat hasil karlena hai,ta ke Baad me kisi baat per ikhtelaf paida hokar jhagde na hone paye,aur 2 Rishteh wa 2 Khaandaan tootne Na paye,
■■ Nikah se Pahle Ladki ko Ladke ke Gharwale Dekh leni ki ijazat hai,
Aur Baaz ulama ne Ladke ko bhi Ladki dekhne ki ijazat diye hai,
Ab dekhne ka Matlab ye Nahi hai,ke jaisa ke Ghair muslimo ke paas Shadi se pahle hi Shopoing Maals,etc…me ghoomne aur phirne lagte hai,jo ke Islam me Nikah se pahle Ladki aur Ladka ka apas me Is tarah ke ta’alluqaat Jayiz Nahi hai,
●● Ahem Baat ye hai,ke Accha Humsafar keliye Amal ye hai,ke ; APNE AAPKO HI ACHA WA BA AKHLAAQ BANA LE TO INSHA ALLAH HUMSAFAR BHI ZAROOR ACHA WA BA AKHLAAQ HI MILEGA…..insha Allah.
Future se ziyadah present pe tawajjuh de to insha Allah futre khud ba khud ziyadah behtar ho hi jayega ..
Plz..Share it to All,for more islamic services visit our web site..
anwaarulislam,com.