DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH , DAY : 247,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahunhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne Hazrat Abdur Rahman Bin Awf(raziyallahuanhu) ke Badan per Peele Rang(Yellow Colour) ka Asar dekha,to farmaya ye kiya hai ? To aapne kaha,Mera ek Ladki se Nikah hogaya hai,to aapne Kaha,Aap ek Bakri hi kyu na us se Valimah karo.
(Vol/1,H,No :1117),
Dars : To is Hadees me Valimah ke Bare me bayan kiya gaya hai,ke :
VALIMAH KARNA SUNNAT hai,Wajib Nahi hai,
■■ Baaz Kahte hai,ke Valimah keliye Miya Bivi ka Milna Zaroori hai,Warna Valimah Jayiz Nahi hai ?
Jawab : Valimah keliye Miya Bivi Ki Qurbat Zaroori Nahi hai,kyu ke Valimah Sunnat hai,uskeliye Sohbat Shart Nahi hai,kyu ke Kisi bhi Hadees me Sohbat ki shart Nahi ayi hai,
●● Valimah Doosre Din bhi karsakte hain,aur Teesre din bhi karsakte hain,agar ek week ke baad kare to wo Sirf dawat hogi.
■■ Valimah Shohar ki Janib se hoga,Bivi ki Janib se Nahi,
♢♢ Peela Rang Yani Haldi etc..ka istemal mard waqti taur per karsakta hai,lekin Mahendi lagane ki ijazat Nahi hai.
Allah Sabko Nek Taufeeq de..Ameen

Plz..Share it to All,For more Visit our web site..
anwaarulislam,com.

You might also like