*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY :116,

 

Hazrat Saburah Bin M’abad Juhani(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab Bacche 7 Saal ki Umer(age) me ho to unhe NAMAZ padhne ka Hukm Do,aur Jab wo 10 saal ki umer wale hojaye agar wo Namaz na padhe to unko Maar(beating) kar Namaz padhavo.
(Vol/1,H,No:409),
Dars :Is Hadees me Walidain ko Awlad ki tarbiyat karne ka hukm diya gaya hai,ke jaise walidain apne awlaad ki Dunya sanwarne keliye Piyar wa Mohabbat ,Baaz maqam per Daant wa sakhti se pesh aate hai,to unhe awlad ki Aakhirat sanwarne keliye bhi NARMI WA SAKHTI dono ko istemal karna chahiye take wo sanwar sake…
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like