DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : SALAH(JUMAH), DAY:145,
Hazrat Muaz bin Anas Juhan(raziyallahuanhu) apne walid e Mohtram se rivayat karte hai,unhone kaha:
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jo Jumah ke din khutbah ke darmiya Aakhir me aakar saamne bathne keliye Baithe huve logo ki Gardano aur saro per Se Guzre to wo shaks aysa hi hai,jaisa ke wo apne liye “JAHANNAM KI TARAF JANE KA PUL(Bridge)” hi Bana liya ho.
(Vol/1,H,No:515),
Dars :Islami Bhayiyo :ye Jumah ke khutbah aur her Majlis wa Mahfil ke Aadab me se hai,ke Jo log pahle aakar baith jaye to us jagah per wahi baithe kyu ke islam Masawaat yani Barabari ki taleem dene wala mazhab hai,isi liye Rasool e akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Majlis me jaha tumhe jagah mil jaye wahi per baith javo (Zujajatul Masabeeh,Vol/4),lehaza baad me aakar Logo per se guzar kar saane baithna Ghalat hai,islami taleemat ke bhi khilaf hai.
●●Baaz log doosro keliye Masjid me Jagah keliye Dasti(Rumaal,etc..) rakhte hai,ye bhi Sahi Nahi hai.
Plz…Share it to All,For islamic Service.