DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER :SALAH(MUSAFIR, DAY:154,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihuwasallam) ke saath Maine 18 Martabah safar ki Sa’adat Hasil kiya,to Jab bhi Nabi e Kareem(sallallahualihiwasllam) Madeeneh se Makkah Safar Farmate to Aap waha (4 Rakaat wali Namaz) 2 Rakaat hi ada farmate,Be shak Aap Allah Rabbul Aalameen ke alawah Kisi se Khauff Nahi karte.
(Vol/1,H,No:550)
Dars:Aap Allah Rabbul Aalamaeen ke Alawah kisi se Nahi Khauff karte ?
Is Jumleh Mubarak se kayi masaayil Nikalte hai,un me se ek ye ke… Baaz log ye kahte hai,ke,Safar Me Qasr us waqt hai,jab Bandah Thakk jaye warna Nahi ?
■■ Jawab :Aysa kahna Bilkul Ghalat hai,Qyran aur Hadees me kahi aysa likh huva Nahi hai,ke thak javo to Qasr karo !! Balke ye hai,ke safar karo to Qasr karo,isi liye to Hadees me isharah hai,ke kisi ka Khauff na tha,phir bhi qasr kiye to thakawat ho ya Na ho Qasr Allah ki Rahmat hai,apna le to Barkat hai.
Plz..Share it to All,For islamic Service

You might also like