DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHPATER : JANAZAH , DAY : 220,

 

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne Suhail Bin Baizaa(raziyallahuanhu) ki Namaz e Janazah Masjid me Padhayi hai.
(Vol/1,H,No : 1050),
Dars :Ek Doosri Hadees me Masjid me Namaze Janazah Na padhne ka Hukm aya hai,to in dono rivayat me tatbeeq wa muvafaqat ye hai,ke
●● Jis masjid me Sahen kushadah ho to Us Masjid ke Sahen me Jamaz e Janazah padhna hai,Masjid ke ander Nahi kyu ke Jahan Namaz padhi jati ho aur jisko Ihata e Masjid kahte hai,uska aur Masjid ke Sahen ka hukm alag hota hai,
Uski wajah ye hai,Mayyit se Kuch Ghalazat ya Khoon(etc..) Nikal jaye to us se Masjid ki Jay Namaz aur wo maqam Na paak hojate hai,jis se jay Namaz aur maqam ko Dhona zaroori hota hai,aur is se Namazo me khalal hojayega,
■■ Jis Masjid me Sahen Na ho to aysi Masjid ke Ander Namaz e Janazah padhna hai,
☆☆ Aajkal Baaz Firqeh ke Ladies bhi Ghar me Namaze Janazah padh rahi hai,jo ke islami taleemat ke Bilkul khilaf hai,kyu ke khawateem(ladies) imamat ke Mansab ke mustahaq Nahi hai,Balke Mard hi Hain,aur isme Khawateen keliye hi Bhalayi hai,
To khualasah ye ke Namaze Janazah Masjid ke Sahen ya Masjid me Padhna hai,majboori ki Soorat(jis Village me masjid hi Na Ho..etc) me Kahi bhi padh sakte hai.

You might also like