DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 568,Hadees No :2375,

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mai aur Qiyamat Is tarah qareeb hain,(ye kahke aapne Apni Shahadat ki ungli aur Beech wali ungli se isharah farmaya).
(Vol/2,Hadees No :2375),
Dars : Insaan ke Haath ki ungliya jo ek doosre ke Bilkul qareeb hoti hai,to us tarah ki qurbat ko batane keliye hi aap sallallahualihiwasallam ne Apne aur Qiyamat ke Qareeb hone ke bare me isharah farmaye hai,taake Hum Momin Bandeh Qiyamat ki tayyari karle,apasi Ranjishe wa Duahmani ko khatam karle,etc…
■■ Hame ye Nahi dekhna hai,ke Fula shaks ye kyu nahi kar raha hai,ya usko wo Karna Chahiye tha,Balke Hame to apne Aamal ki khabar rakhni chahiye aur apne ko sudharne ki koshish bhi karni hai,bando ko Nahi Balke Rabb ko Raazi karne ki fikar karni hai,kyu ke Qiyamat qareeb hai..
Allah hame Hame Nek Kaam ki taufeeq Naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like