DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 595,Hadees No :2428,

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Logo per Ek Aysa Zamanah ayega jis me Deen per Qayim rahna ayse hi hoga jaise Haath me Angaro ka Dhela pakde ho.
(Vol/2,Hadees No :2428),
Dars : Deen per Chalna aur Qayim rahne Akhiri zamaneh me is liye Mushkil hojayega kyu ke Log Sab Deen ko Chod kar Dunya pe Chalna Shuru kardenge,isme Sab Shamil hain,Ghair bhi aur Apne Musalmano ka bhi yahi Haala hoga ke Har Pahlo ko Dunya ki Nazar se dekha jayega,to Laazmi Baat ke Uske Dil me Deen se ziyadah Dunya ka hi Rujhaan hoga,
●● Hamare Hi Baaz Musalmano ko Kayi islami Aadab wa Tariqe Na Pasand hote hai(Nawuzu Billah Minzalik) jaise..Nabi e Kareem Sallallahualihiwasallam aur Saare Ambiya e kiram(Alihimussalam) ne Dadhi(Beard) rakhi hai,Jo ke Sunnat hai,Mard ke Saath Saath Hamari Baaz Khawateen ko bhi Dadhi ke Na Jane kisi Ghutan hai..?! Pata Nahi wo Pasand Nahi karte Jab ke Ye Deeni wa Islami Akhlaaq hai,
Haan,Agar Koi Actor Dadhi rakhe aur usko koi Follow ho to (Nawuzu Billah) ab Ye Trend hojata hai,
Saadha Nikah kare to Logo ko Mushkil,Bacho ko Deeni Taleem padhaye to Mashoreh dena shuru karte ke Baad me kiya kamayega,Deen ki khidmat me lag jaye to Logo ke Taane Baane suno,etc..etc..kayi Baate hain,jab hamare hi logo ka ye ta’assur ho to phir Ghairo ka Aalam kiya hoga…!!
Is wajah se Deen pe qayim rahna Angaro ko Haath me rakhne ke barabar hoga,
Jabke ye Haqeeqat hai,ke Jo jitna bhi Dunya ko apne me Sama le aur Deen ko Chod de to usko Marne ke Baad Dunya nahi balke Deen hi kaam aane wala hai,aur Deen se hi Dunya wa Akhirat dono me kamiyabi hai.
Allah hame Deen per Hamesha Qayim rahne ki taufeeq ata kare..Ameen ya Rabbi.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like