DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 397,Hadees No :2053,

Hazrat Abu Moosa Ash’ary(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ek Musalman Doosre Musalman keliye Ek Hi Us Imarat(Building) ki tarah hai,Jiski Eente Apas me ek doosre se milayi gayi ho.
(Vol/2,Hadees,No :2053),
Dars :Har Musalman ek doosre Musalman se us tarah Mohabbat wa Shafaqqat kare jis tarah Wo Apne Haqqeqi Bhai se Mohabbat wa Shafaqqat karta hai,to tab hi apas me Bhaichargi Hamesha baaqi rahegi,
●● Deen e Islam hi ek wahi Mazhab hai,jisme Musalmano ko Apas me muttahid rahne ki taleem bhi deta hai,uske usool wa qawaneen bhi ittehad per hi banaye gaye hai,
Jaise Masjid(Allah ka ghar hai) isme Rozanah 5 waqt ki Namaze,Khas Jumah ka khutbah wa Namaz Musalmano ko apas me Jodti hai,ibadat ke saath Apasi Mohabbat wa shafaqqat ki taleem bhi Milti hain ye Haqqeeqat hai,
Per Afsos ke saath ye kahna padta hai,ke Masjido me ab Jama karne wale log baaqi Nahi rahe….. !!!!
Masjid ka Malik ab Mutawalli ya Sadar hi apne aapko samajhta hai,Jabke us Madjid se In dono ka koi Ta’alluq hi nahi,ye Imam wa moazzan ke saath saath sabhi ko Dili taur per Apne se Neecha samajhne lagte hai,Jabke inka Anjaam qiyamat me bada dardnaak hai…!! ALLAH AYSE MUTAKBBIREEN SE SAARI QAUM KO BACHAYE..Ameen
●● Gharz ke Jahan Musalmano ko Muttahid karne ka mauqah hota hai,waha Siasat(politics) ki jati hai,Kabhi Zaat,to kabhi Qabeelah,kabhi Koi siasy party to kabhi Dakhili ekhtelaf gharz ke Aksar log Ummat ko jodne ke bajaye Todne per lage huve hai,aur apni saari quvvat isi me lagaye phirte hai,Phir apne aapko Ummat ka Saharah kahte phirte hai,inhe Yaad rakhna hoga ke kal Qiyamat me Allah ke Saamne Hazir hona hai…
☆☆ Khualasah ye ke Apne Aap se ye Kaam shuru kare ke MUJHE MARTE DUM TAK DOOSRE MUSALMAN SE CHAHE KUCH BHI MILKAR RAHNA HAI,AUR DOOSRE KE EKHTELAF KO BARDASHT KARNA HAI…
to tab hi ekhtelaf khatam hosakta hai,warna Bohat mushkil hai,
Allah hame Be Gharz walah Ittehad ata kare..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like