DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 426,Hadees No :2084,

 

Hazrat Baraa Ibne Aazib(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah kisi Doosre Bandeh ke Qarz ke ada karne me Madad kare ya Kisi Ko Raastah Bataye to Usko Allah ke Raasteh me Ek Ghulam Azad karne ka Sawab diya jata hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/2,H,No :2084),
Dars : Kisi Ke Qarz me Madad karna 2 Tarah ka hota hai,Ek Maal se Doosra Zuban se…
●● Maal se Is tarah ke kisi Qarz wale ko Apna Maal dekar uska Qarz poora kare
●● Zuban se is tarah ke Kisi Qarz wale ko Baar Baar uske Maqrooz hone ko doosro ko Na bata kar uski Madad karna hai,kyu ke Jab kisi Qarz wale ke Bare me log Bura kahenge to to usko wo Maal se ziyadah Bohj wa wazn Mahsoos hoga,
■■ Raastah Batana yani Kisi ki Rahnumai karna hai,jab koi kisi ki sahi Rahmumayi karta hai,to Allah usko ek Ghulam azad karne ka sawab ata karta hai,Shart ye hai,ke Ye Madad wa Nusrat Allah keliye ho Na ke Shohrat keliye kyu ke Aaj Har koi kisi ki Madad karke pahle us Madad ko Social Media ke zariyeh logo ko batane ki koshish karta hai,ab uski Niyyat Allah hi behter Jane…
Allah hame Ikhlas ke saath Madad karne wala Banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like