DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 449,Hadees No :2121,

Hazrat Abu Haurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) aap Hum se To Mizah(Mazaq) farmate hain ? To Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mai Mizah me bhi Haq Baat karta hoon.
(Vol/2,Hadees No :2121),
Dars :Deen e islam Haqqaniyyat per Mabni Mazhab hai,uski Har Taleem me Haq baat wa Dars hota hai,Zindagi ke har pahlu ke bare me Taleem wa tarbiyat ki gayi hai,isi tarah Mizah yani Doosro se Mazaq karne ke bare Cahnd hudood rakhe gaye hai,ke :Mizah me bhi Haq bola jaye,Jhoot Mazaq se bhi kahe to us Jhoot Baat ka gunah likha jayega,kyu ke Jhoot to Har Haal me Jhoot hi hota hai,
Mazaq me Doosro ke Dil k dukhane se bhi roka gaya hai,Mazaq se Doosro ko Sirf Masarrat Naseeb hona hai,Na ke Nafrat..
Mazaq Choto se hi kiya jana chahiye Na ke apne Badho se Warna Be Adabi Lazim ayegi,wo tazeem ke khilaf hoga,
●● Ziyadah Mazaq karne se Insaan ka Waqar ghatne lagta hai,aur insaan ka Roab bhi khatam hojata hai,lehaza kuch Lamho keliye kabhi kabhi Sharee Daireh me rah kar mazaq karne ki ijazat hai,
Allah hame Sanjeedah Banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like