DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 456,Hadees No :2131,

 

Hazrat Salamah Bin Akwa’a(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Bandeh ke Dil me Takabbur Ajaye yaha tak ke wo Usi Takabbur per Baaqi rahe to uska Naam Mutakabbireen me se likh diya jata hai,Phir Usper Mutakabbireen per Aane wali Museebate ajayengi.
(Vol/2,Hadees No :2131),
Dars : Insaan Chahe kitna Hi MaalDar,Haseen,Taqatwar kyu Na ho Wo Ek Mohtaj Bandah hi hai,Wo kabhi “GHANI(Be Niyaz)” ho hi Nahi sakta hai,Kyu ke Be Niyaz to Sirf Allah ki Zaat hai,
Bandeh ko Jo kuch Mila hai,aur Milta rahega insha Allah,Bus wo Allah ke Fazl se Mila hai aur Milta rahega,Lekin Jab Bandah Allah ki Ata ko,Aur Maal,Husn aur Taqat ki Fana hone ko Bhool jayega to Uske Dil me Ana(takabbur) paida hojayega phir wo Ek Na Shukrah Bandah Bankar Mutakabbireen ke saath uthaya jayega..
●● Aaj Moashreh me Achi Job Mil jaye,Acha Ghar Bana le,Aala Taleem Hasil karle,Nayi wa Badi Qeemti Gadi khareedle to Baaz Apne bhi Paraye dikhne lagte hain,Kyu ke Unke Dil me Ab Apne Chote hojate hain,aur ye Waqt Shan wo Shawkat Badi dikhne lag jati hai..!!
Yaad Rahe ke Insaan ki Shaan uske Samaan se Nahi Balke uske Akhlaaq se Hoti hai,jo ke Takabbur se Khali ho….
Haan,Agar koi Padha Likha shaks kisi Na padhe Shaks se Khamoosh rahe ziyadah Baate Na kare to ye Takabbur Nahi hai,Balke ye ilmi Hikmat hai.
Allah hame Takabbur se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like