DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 471,Hadees No :2155,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)
ne farmaya : Peer(Monday) aur Jumerat(Thursday) ko Allah ke Paas Bando ke Naam e Aamal pesh kiye Jate hain, Jo Allah ke Saath kisi ko Shareek Na karega to uski Maghfirat ki jayegi,lekin jo Apas me Baat Nahi karne wale honge unke Aamal ko Wapas kardiya jayega Yaha tak ke wo Dono Apas me Sulah karle.
(Vol/2,Hadees No :2155),
Dars : Hafteh me 2 martabah Bando ke Aamal ka hisab kiya jayega yani Aamal ko Allah ke Saamne Pesh kiya jayega..Peer aur Jumerat ke din taake Rahman Allah Bando ko Maaf karde aur jo Bhatke huve hain,unko Nek Aamal karne ka Mauqah de,ab Bando ko Kam se kam Weekly 2 martabah to Apne Aamal per Nazar rakhni chahiye Halanke Ye Nazar to Har Lamha rakhni hai…….
●● Apas me Ekhtelaf ki wajah se Juda hone wale aur apne Ta’alluqat ko todne walo ko Allah Pasand Nahi karta hai,isliye unke Aamal ko wapas kardiya jata hai,taake wo phir se Mil jaye to tab unke Aamal ka hisab liya jayega,warna unki Baat ki tarah Aamal bhi Adhure rah jayenge,
■■ Haan,Agar Baaz Bando ki Tabiat aur Mizaj Bilkul Aap ke Mizaj se Alag ho to un se Salam tak hi rabtah rakhe to koi Haraj Nahi hai,wo apni Jagah aur aap apni jagah khush rah sakte hain.
Allah hame Apas me milkar rahne walo me se Banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like