DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 249,

Hazrat Abu Moosa(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya :Wali Ki Ijazat ke Baghair Nikah Nahi hota hai.
(Vol/1,H,No :1124),
Dars : Nikah ek Dili Rishteh ka Naam hai,Aur 2 Khandano ke Bandhan ka Naam hai,to is Atoot rishteh ka ineqaad Wali ki ijazat se mukammal hota hai,
WALI : BAAP,DADA,agar ye Dono bhi Na hoto Aakhir me Bhai hota hai,lekin Haqeeqi Wali to Baap hi hota hai,
■■ Shafayi Mazhab me Wali ki Ijazat ke Baghair Nikah hi Nahi hota hai,agar koi Wali ki ijazat ke Baghair Nikah kar bhi le to Nikah Batil hojayega,
●● Hanafi Mazhab me Nikah Wali ki ijazat per Mauqoof hota hai,Yani Agar koi Wali ki Ijazat ke baghair Nikah karle to agar wali Us Nikah se Inkar kare to wo Nikah Toot jayega,Nikah Baaqi Nahi rahega,agar Wali Us Nikah se raazi hojaye to phir wo Nikah Baaqi rahta hai.
☆☆ EK AKHLAAQI PAHLU …Zameen per Zitne bhi aur Jis Mazhab ke Nawjawan rahte ho unhe Ek Baar Apne Walidain Ka Khayal karna bhi Bohat Zaroori hai,ke wo Jis Se Nikah kar rahe ho to usko Apne Maa Baap ki Ijazat se kare to hi Us Nikah me Barkat hoti hai,aur Usme unki Duaen bhi Shamil hoti hai,isi liye Deen e islam ne Nikah ke Bare me Wali(Nigrani karne wala) ko Badi ahammiyyat di hai,uska Maqam rakha hai,
aaj kal Jo Media per Bhaag kar Nikah karne ko Aam kiya jaraha hai,wo Bilkul islami Taleemat ke khilaf hai,Aysi Harkat karne se khud hi Apni aur Logo ki Nazro me Haqeer hojate hai,lehaza Walidain ki Ijazat me hi Sab kuch hai,Warna Kuch bhi Nahi…to Hame Chahiye ke Deen e islam ke Ahkmaat ko thaame rakhe to Insha Allah 2 jahan ki Barkat Naseeb hogi.

Plz..Share it to All,For more Visit Web site…
anwaarulislam,com.

You might also like