DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 507,Hadees No :2219,

 

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Hame Bukhar(fever) aur Har Qisam ke Dardo ke Door hone keliye Ye Dua Sikh layi :
((بسم الله الكبير أعوذ بالله العظيم من شر كل عرق نعار ومن شر حر النار)).
“BISMILLAHIL KABEER AWUZU BILLAHIL AZEEM MIN SHARRI KULLI IRQIN N’A ARIN WA MIN SHARRI HARRIN NAARI”
(Vol/2,Hadees No :2219),
Dars : ye Dua Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ke Zuban e Aqdas se Ummat ki Beemari aur Dardo ke door hone keliye Nikli huvi khas dua hai,Hame chahiye ke is dua ko yaad karle phir Wazu ki Halat isko zaroorat per Khud per aur Apne Awlaad per padh kar dum kare insha Allah Beemari wa takleef dono khatam hojayengi…
●● Ek Aam Doctor kuch Noskhah Bataye to hum us per Sehat keliye Amal karne ki koshish karte hai,Qurban jaye Yaha to Tabeeb e Aalam Noor e Mujassam sallallahualihiwasallam ka ummat keliye Roohani Wa lasani(is se behter koi Noskha Nahi) Noskha wa ilaj mila hai,to Hame usko zaroor Apni zindagi me apnana chahiye Jis se Hame Barkat ke Saath Sehat bhi milegi..Insha Allah.
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like