DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 623,Hadees No :2479,

 

Hazrat Ubadah Bin Saamit (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Allah se Mulaqat ko Pasand karta hai,to Allah bhi us se Mulaqat ko Pasand karta hai,aur Jo Allah se Mulaqat ko Na Pasand Karta hai,to Allah bhi Us se Mulaqat ko Na Pasand karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2479),
Dars : Allah se Mulaqat ka Matlab “MAUT”hai,kyu ke Maut ke Baad hi Bandeh ki Haqeeqi dunya ke Raasteh khul jate hai,aur wo Qiyamat ke baad apni Aarzi dunya ka Hisab de kar Dayimi(Hamesha) Dunya yani Akhirat me apne Aamal ke etebar se Jaza payega,aur wo Allah ki Qudrat wa Hikmat aur shaan wo Shawkat ke Nazare waha per bhi dekhenge,
■■ Jo Bandeh se Dunya me hi Akhirat ki Tayyari karle aur Eimandari se zindagi guzare to usko Maut se koi Darr Nahi hoga,aur to aur wo Zindagi se ziyadah Maut ko yaad karega aur Dunya se Be Zaari aur Akhirat Se Dildari ka izhar karega aur wo Allah ki Mulaqat ko bohat pasand karega aur Allah bhi uski Mumaqat yani us bandeh ko Pasand karega aur jisko Allah pasand kare to usko apni Razamandi ata karega aur usko Jannat me makan se nawazega,aur Jo Dunya me Akhirat tayyari na kare aur Dunya ko hi Sab kuch Samajh le to wo Dunya me bhi zaleel hoga aur akhirat me bhi zaleel hojayega,jiski wajah se use Maut se bohat darr lagega aur Allah bhi us se Naraz hoga…!!
Dunya Akhirat ki Tayyari ki Jagah hai,Na ke us se Dildari karne ki..!!
Allah hame Achi Maut Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like