DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 644,Hadees No :2505,*

 

Hazrat Abdullah ibne Umer (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Ek Lakeer Kheench kar farmaya : Ye Insaan ki Zindagi hai,phir Ek Lakeer khaanch kar farmaya :Ye Insaan ki Maut ka waqt hai,phir Kayi Lakeere kheench kar kaha ke :Ye Insaan ki Umeede(Khahishe) hain.
(Vol/2,Hadees No :2505),
Dars : *Insaan ki Khahishe uski Zindagi ke Ayyam(Dino) se bhi ziyadah hoti hain,isiliye Allah ne Quran me farmaya ke ” Agar Tum meri Nemato per Shukr karoge to mai tumhe aur bhi ziyadah Nemate dunga aur Agar tum Nemato ka (Shikwah aur Shijayat se) inkar karoge to tunhe Sakht azab dunga”*
*Lehazah hame chahiye ke Allah ki ata ki huvi har cheez per Shukr baja laye to Nemato me mazeed barkat hogi,*
●● *Ye Dunya aur Dunya ki Cheeze Bohat Rangeen hoti hai,yaha koi Cheez aur Maakhlooq apne Maqsado me kamal ko nahi pahonchte hain,(Sivaye Allah ke Mahboob Bando ke) kuch Na kuch Kami Zaroor baaqi rah jati hai,aur ye bhi Qudrat ke kamil hone ki Alamat hoti hai,to Bando me Qina’at ki Nemat ka aana ye sab se Ahem baat hoti hai,jo Allah ke Ahkamaat per Chalne se aati hai,*
*Bus Allah ke di huvi nemato ko kaafi samjhe aur us per Shukr baja laye to Yahi Qina’at hogi,*
☆☆ *Ye Updating ka Zamanah hai,yaha kisi cheez me kamal Nahi hota hai,Lehazah Jo apne Paas hai,us se khush hona aur LutfAndoz hona seekhe lijyega,Yahi kaafi hai,Future ke Bare me kisi ko pata Nahi hai,jiske Bare me kuch pata Na ho uske bare me sonchna Be Kaar hai.*
Allah hame Har Nemat per Qina’at wa Shukr karne wala Banaye..Ameen ya Rabbi…
Plz..Share it to All,for more islamic sevices click here anwaarulislam,com.

You might also like