DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 654,Hadees No :2516,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke Zamaneh me 2 Bhai Raha karte,Ek Tijarat karta tha,to Doosra Nabi e Paak sallallahualihiwasallam ke Paas Aya karte the,to Ek Din Tijarat karne wale Bhai ne Doosre Bhai ki Shikayat ki ke Wo Kuch Kaam Nahi karte hain,to Tab Aap ne farmaya : Jo Shaks mere Paas ata hai,Deen ki Baate Seekhta hai,to Aur tum tijarat karte ho Hosakta hai,ke Allah uski hi wajah se Tumko Rizq ata kar raha ho.
(Vol/2,Hadees No :2516),
Dars : Rizq ke Taqseem Allah ke hukm se hi hoti hai,phir Allah us Rizq ke Taqseem ke liye Asbaab dekh kar rizq Bando ko ata karta hai,aur wo Sabab Tijarat aur Mehnat hi Nahi hoti hai,Balke uske alawah bhi Achi Sohbate bhi hoti hai,Jitne Ache Logo ke Saath Rahoge Allah unki Rifaqato aur Nisbato ke Sabab Rizq me Barkat Naseeb karta hai,jaisake Hadees e Paak me Yahi mafhoom aya hai,warna Allah ke Nabi sallallahualihiwasallam us doosre bhai ko bhi Apni Majlis se door karke Tijarat ya mehnat karne ka hukm dete Lekin aapne aysa Nahi kiya balke Deeni Mahfil ki Barkat ki tayeed farmayi aur usi ko Rizq ke husool ka sabab batay hai,lehaza jo Deeni Mahfilo aur Zikr ke majliso me ziyadah shareek hote ho to unper Tanqeed aur Tana dene ke bajaye apni Dunyadari ko chod kar unki Thodi bhi to Deendari ko apnaye to ziyadah faidah hoga warna Zahir me unper tana dena dikhta hai,lekin Haqeeqat me Deen aur Allah ke zikr per Tana dena aur Susti karne ka izhar lazim ayega(Nawuzu Billah)..!!
■■ Is me Doosra sabaq ye bhi hai,ke Bandah apni Salahiyyat per Had se Ziyadah bharosah na kare aur Apni Salahiyyat ko hi kamiyabi ka sabab Na banaye Balke Mehnat aur Salahiyyat ke sarf karne ke baad jo kamiyabi naseeb ho usko Allah ki Ata wa faiz samjhe to usko Mazeed kamiyabiya milengi..insha Allah,
Allah hame Tawakkul ko sahi Samajh kar us per Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like