DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 657,Hadees No :2520,*

 

Hazrat Abu Abdur Rahman (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mere Rabb ne Mujh se farmaya : Aye Piyare Habeeb(sallallahualihiwasallam) Agar aap kahde to Makkah ke Saare Pahad Apkeliye Sone(Gold) ke Bana du ? To maine kaha :Nahi Aye mere Rabb mai Ek Din Pet Bhar Khana Chahta hoon,aur Doosre Din Bhooka rahna Chahta hoon,Kyu ke Jab mai Bhook Rahunga to Tere liye Ajizi karunga aur tujhko Yaad karunga aur Jab mai pet Bhar Khalunga to Tera Shukr Baja lavunga aur Teri Tareef karunga.
(Vol/2,Hadees No :2520),
Dars : Subhan Allah Qurban jaye Aaqa e Do Jaha Sallallahualihiwasallam ki is Ajizi per ke aapne Apne liye Sone ke Pahad lene se bhi inkar kardiye aur Apni Ummat ko Yahi Taleem farmaye ke Har Haal me Rabb ke Huzoor me Hazir hona hai,aur usko Yaad karna hai,Khush Haal ho to Allah ka Shukr aur uski Tareef karni hai,yahi Bandeh ke Behtreen khoobi hai,jis se Rabb Bandeh se aur Bandah Rabb ke Qareeb hota hai,
Agar Ye Sifat paida Na ho to Asbaab jab Zindagi me mushkil Tareen ban jaye to Samajh lena Allah hame uske Huzoor me Hazir kar raha hai,to ayse Halaat me shikayat ke Bajaye Sabiqah Nemato aur Khushiyo per Shukr aur Maujoodah Museebato per Subr kare to Rabb insha Allah phir se Nawazega.
Allah hame Sabir wa Shakir Bando me Shamil kare Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our Islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like